Computer Me Bina Kisi Software Ke File ya Folders Ko Kaise Hide Kare

Computer Me Bina Kisi Software Ke File ya Folders Ko Kaise Hide Kare Dosto, Computer ek aisi chij hai jahan par hum apne bahut se personal aur jaruri chije rakhte hai. Lekin kabhi – kabhi hame ye mahsush hota hai ki kyon naa hum apne sabse jaruri file ho sab se chhupa kar rakhe jis se ki koi bhi usko dekh naa paye. Aap soch rahe honge ki iske liye hame apne computer me kon sa aisa software download karna padega jis se ki ham files ko hide kar sake. To dosto me apko bata du ki aaj jo me apko janakri dene wala hu vo thodi khas kyonki aaj me apko batane wale hu uske jariye aap bina kisi software ko install kiye apne Computer me Files ko hide kar sakte hai. Chaliye jante hai kaise kar sakte hai hum. Computer Me Files Ko Hide Kyon Kare ? Computer me hamare bahut se personal chije hoti hai, jo sayad apke liye important ho sakta hai. Computer aisi chij hai ki agar apke ghar me hai to use koi bhi use karna chahega aur aap use mana bhi nahi kar payenge. Lekin agar aap apne jaruri fi