Android Phone Ki Battery Backup Kaise Badhaye.
Dosto Smart Phone aaj sirf ek Phone
nahi rha balki is se hamare vo sare kam ho jate hai jo pahle ek Computer,
Laptop se hote the. Lekin jab ham Android Phone ka use jyada karte hai to usme
Battery Backup ka hona bhi kafi important hai. Bahut se log is baat se pareshan
rahte hai ki unke Phone ki Battery Jyda der tak nahi tikati. Dosto aaj me apko
Android Phone ki Battery Backup Kaise Badha Sakte hai iske bare me jankari
dunga.
Android Phone Ki Battery Backup Kyon Ghat Jati Hai ?
Sabse pahle ye jante hai ki Phone
ki Battery Backup Tikati kyon nahi. Dosto jaisa ki hame pata hai ki sare chije
phone se hi honi lagi hai aise me hum apne Android Phone par bahut sare Apps
install kar ke chalate hai. Lekin kabhi – Kabhi hum ek sath kai Apps ko Open
kar ke chhod dete hai. Hum use Direct kat kr ke chhod dete hai jis se ki vo
Stop nahi hota balki vo app running karta rhta hai jis se apki Battery bhi kam
tikati hai. Agar aap apne unused Apps ko Stop kar de to apki Battery Backup
badh sakti hai. Iske alava un Apps ko jyada use naa kare jo apke phone ki Ram
jyda khati hai. Hum log kuch aur bhi galtiyan karte hai jis se Battery Backup
ghat jati hai phone ka aap niche dekh sakte hai.
- Phone ko charging ke doran use karna.
- Phone ko Full Charge hone ke bavjud ghanto tak chhod dena.
- Battery ko chabana etc.
Battery Backup Badhane Ke Liye Kya Kare ?
Hum ye jaan chuke hai ki kis karan
se hamare Phone ki Battery Backup kam hoti hai. Isliye un sabhi galtiyo ko
karne se bache jo upar batai gai hai.
Phone me achha sa Antivirus (Clean
Master App) jarur use kare. Apke phone ko scan kar ke sare Junk Files ko Remove
kar dega aur Running Apps ko ek click pe Stop kar dega. Iske alava agar aap
phone ka use normal karte hai to Phone ko Lite mode me bhi use kar sakte hai
jis se apki Battery kam khayegi. Phone ka britness kam hi rakhe.
Mujhe ummid hai is post ko padhne
ke baad aap apne phone ki battery backup jarur badha sakenge. Agar aap mujhe se
koi sawal puchna chahte hai to Comments ke jariye puch sakte hai.
Ye Post Bhi Jarur Padhe -
Dosto apko ye post achhi lagi ho to
ise Share karna naa bhule aur hamare naye post ki jankari pane ke liye apna
Email id daal kar Subscribe Kare.
0 Comments