Kisi Bhi Mobile Number Ka Caller Id aur Location Kaise Jane
Dosto aaj ke samay me Mobile Use
Karne walo ki sankhya lagatar tezi se badh rhi hai. Aise me sabhi longo ke pass
apna ek Phone number hota hai jis se hum unke sath contact kar sakte hai. Lekin
kabhi – kabhi aisa hota hai ki hamare phone me kisi Unknown number se Call aane
par hum use Receive hi nahi karte. Is trah se nuksan hamara hi ho jata hai
kyonki vo phone call hamare friend ya relative ka bhi ho sakta hai. Lekin agar
aisa ho ki chahe Unknown number se bhi hamare phone pe call aaye to bhi hum
uska name aur location turant jaan jaye to aap
soch sakte hai kitna achha hoga. To dosto aaj ki is post me hum janenge
ki kaise hum kisi phone number ka Caller Id, uska Location etc. turant pata kar
sakte hai.
Caller Id Janane Ke Kya Fayde Hai ?
Har number ka ek caller id hota
hai, caller id yani ki jis name se number liya gya hai uska name. Aksar log
apni Caller id ko chupana chahte hai aur kafi had tak call ke doran ye koi nahi
bata sakta hai ki uski caller id kya hai. Lekin agar aap Call aate hi uska
Caller Name jaan jaye to aap ye decide kar sakte hai ki kiska call mujhe
receive karna hai aur kiska nahi. Iske liye apka phone smart phone hona jaruri
hai.
Kisi Number Ka Caller Id Aur Lovation Kaise Jane ?
Step 1 - Sabse Pahle apko apne
Phone Me Google Play Store se Truecaller Name ki App Install Karni hogi.
Note – Agar nahi ho pa rha ho to
apko Setting>>App Manager>>Truecaller par jakar Permission me
Storage ko Enable karna hoga.
Uske baad Allow pe click kare
Step 3 – Ab apka phone number verify hoga uske baad apko Name, Email id daal kr Register karna hai.
Step 4 – Register ho jane ke baad
Menu ko Next – Next karte jaiye.
Step 5 – Ab aap dekhenge ki koi bhi
Unknown Number se aai Call ka Caller Id apke Screen pe automatic dekhai degi.
Truecaller App Kam Kaise Karti Hai ?
Aap soch rahe honge ki ye app itna
sab kuch kaise pata kar leta hai. Dosto ye App aajkal ke jitney bhi smart phone
hai unme install hote hai yani ki har koi iska istemal kar rha hota hai. Ye app
Phone me Install hone ke sath hi hamare phone ke jitney bhi contacts hai unko
save kar leta hai apne data base me. Aur jab kisi number se call aata hai aur
vo contact us app me save hota hai to vo turant uska details hame dikha deta
hai.
Ye post jarur padhe -
Ye post jarur padhe -
Dosto mujhe ummid hai ki apko ye
jankari achhi lagi hogi, aap apne sawal comments ke madhyam se puchh sakte hai.
Is post ko Share jarur kare…dhanywad.
0 Comments