Online Shopping
Kaise Kare Puri Jankari
Dosto jaise – jaise india me
technology ka vistar hua hai vaise hi bahut si chije change ho gai hai, jaise
ki pahle Online Shopping ko utna mahatva nahi diya jata tha. Lekin aajkal ke
jitney bhi yuva varg ke log hai vo Online Shoping karna hi jyda pasand karte
hai. To aaj ki is post me hum janange ki Online shopping karne ke hame kya
fayde ya nuksan hai aur online shopping hum kaise kar sakte hai.
Online Shopping Ke Fayde –
Aaj kal jydatar Log Online Shopping
karte hai, lekin kuch samay pahle log online shopping karne se katrate the.
iska karan hai ki pahle log darte the ki agar online kharidi hui chij sahi nahi
nikali to unke paise dub sakte hai. Online Shopping ko jyda se jyda badhane aur
customers ko apni aur akrshit karne ke liye E-Commerse Sites ne offer dena
start kar diya. Yani ki jo product unko market me nahi mil pati thi ya uska
rate high hota tha vo product online turant mil jane laga vo bhi saste damo me
jis karan longo ka vishwash badh gya online shopping ko lekar. Longo ke
bharoshe ko kayam rakhte huve jitney bhi E-Commerse sites hai unhone bhi apni
suvidhao me vishtar kiya. Aaj agar aap koi chota ya bada product kharidna chahe
to vo apko online mil jata hai vo bhi kabhi discount rate par. Bahut se sites
money back guirenty bhi de rhe hai yani ki agar apko product achha nahi lagta
to aap use return kar sakte hai. Inhi sab karano ki vajah se aajkal online
shopping ko jyda mahatv diya ja rha hai.
Ye Post Bhi Padhe -
Ye Post Bhi Padhe -
Online Shopping Kaise Kare –
Online Shopping karne ke liye apke
pass jo sabse jaruri chij jo honi chahiye vo internet hai. Aur aajkal har koi
internet ka istemal kar rha hai. Apko bas Shopping sites par jana hai product
choose karna hai aur Account banane ke baad apna address dal kar order kar dena
hai. Aap online Creadit Card, Debit Card ya Mobile Wallet ke jariye payment kar
sakte hai aur yadi aap chahte hai ki apke hanth me product aa jaye tabhi paise
dene pade to aap Cash on Delivery ka option bhi choose kar sakte hai. Yahan
niche maine kuch chuninda Shopping Sites ki list di hui hai jahan se aap
bejhijhak Shopping kar sakte hai.
Dosto online shopping karna bahut
aasan hai agar aapke pass Smart phone hai to aap in shopping site ka App
download kar sakte hai jis se badi aasani se aap apne Mobile ke jariye bhi
Shopping kar payenge.
Agar apko kisi bhi prakar ki dikkat
aa rhi ho to aap mujh se comments ke madhyam se puchh sakte hai. Apko meri ye
janakri achhi lagi ho to ise share jarur kare…dhanywad !
0 Comments