Computer Me Zip ya Rar File Kya Hoti Hai ?
Dosto Computer ek aisi machine hai
jo hamare sabhi kamo ko aasan kar deti hai. Lekin agar apko iske bare me jyada
janakari nahi hui abhi tak sayad aap iska sahi istemal nahi kar payenge. Dosto
aaj ki post me hum aise hi computer ki File ke bare janenge jise aapne kabhi na
kabhi suna ya dekha hoga. Computer me Zip ya Rar naam ki folder ye aakhir kya
hoti hai aur isko kyon banaya jata hai iske bare me aaj hum janenge.
Zip ya Rar File Kya Hoti Hai ?
Ye ek Speacial File hoti hai jise
banaya jata hai kisi chij ko surkshit rakhne ke liye. Matlab ki Zip ya Rare k
compress file hoti hai aur inke andar hum koi bhi badi file ko compress kar ke
rakh sakte hai. Aapne dekha hoga ki internet se jab hum koi file download karte
hai to vo Zip ya Rar file me hoti hai. Jise open karne ke liye hame Winrar
software se Extract karna padta padta hai.
Zip or Rar File Banane Ke Fayde Kya Hai ?
Agar hum apni koi badi file ko Zip
ya Rar file me Achieve kar ke Compress kare to ye bahut kam size ki file ban
jati hai jise agar hum chahe to password lock bhi laga sakte hai. Iske alava ye
aisi file hoti hai jise koi bhi hack kar ke khol nahi sakta yani ki agar aap
apne koi jaruri deta zip ya rar file me rakhe to ye hackers se bhi surakshit
rahti hai. Ye aisi file hoti hai jinki size bahut kam rakhi ja sakti hai sayad
yahi karan hai ki internet pe jydatar aise files hi rakhe jate hai. Taki vo
jaldi se download ki ja sake.
Computer Zip, Rar Files Ko Open Kaise Kare ?
Zip ya Rar file ko Open karne ke
liye apko apne Computer me Winrar Software install karna padta hai. Aap is
Software ki Help se us File ko Extract kar ke khol sakte hai. Winrar Software
se aap kisi bhi File Ko Archieve jkar ke Rar ya Zip file me Compress kar sakte
hai aur Password Bh Laga Sakte hai.
Mobile Me Zip, Rar File Ko Kaise Open Kar Sakte Hai ?
Mobile me aisi file open karne ke
liye apke Mobile me ek App Install Karna hoga. Iske Liye Aap Google Play Store
Se Zachiever name ki App Download kar ke
Install kar le. Ab aap Storage me jakar Zip ya Rar File Ko Open karenge to vo
us App men Open ho jayegi. Aap use Extract bhi kar sakte hai.
Kisi Bhi File Ko Zip File Me Compress Kaise Kare ?
Step 1 - Apko Computer Me jis bhi
file ko Zip File Me Compress Karna hai usko Select karne ke baad Right Click
kare aur Add to Archive par click kare.
Step 2 – Ab aap us file ko Zip file me Compress karna chahte hai vo Select kar le, aap chahe to usme
Password bhi laga sakte hai.
Step 3 – Aap niche Compression
Method chun sakte hai Normal, Fast, Good, Better etc.
Ye Post Bhi Padhe -
- Computer Me Internet Ki Speed Kaise Badhaye
- Computer Me Recycle Bin Ka Storage Location Kaise Change Kare
- Apne Purane Computer Ki Speed Kaise Badhaye
Dosto apko meri ye janakari kaisi lagi comments ke madhyam se jarur bataye, is post ko share karna bhi naa bhule...dhanywad !
0 Comments