Interesting Android Tricks in Hindi - Gyani Blog
Dosto aaj kal ke jitney bhi SmartPhone jo aa rahe hai
jydatar unme Android Oprating System ka prayog kiya jata hai. Aage badhane se
pahle me apko bata du ki Android Google ki Oprating System hai. Yani ki
Smartphone me agar Oprating System na ho to vo koi kam ka nahi hota. Android ek
bahut achha aur Aasan Oprating System hai aur ise koi bhi aasani se use kar
sakta hai. Ho sakata hai apke pass bhi Android Smartphone ho lekin kya aap apne
android phone ke features ki puri jankari rakhate hai. kai bar hamare phone me aise – aise Features
mojud hote hai jiske bare me hame pata nahi hota hai. aaj ki is post me hum
Android phone ke kuch behtarin Features ke bare me janenge. Aur mujhe puri
ummid hai ki apko kuch naya sikhne ko bhi milega.
Android Phone Ke Interesting Features and Tricks –
- Android Phone Ko Restart Kaise Kare ?
Aap soch rahe honge ki android phone ko
Restart karna kon si badi baat hai, bas button bataya aur phone restart ho
jayega. Lekin agar apka phone hang ho gya ho aur koi bhi button kam na kar raha
ho. Aise paristithi me agar apka phone none-removable battery wala ho to apke
liye musibat ho jayegi. Agar apko Phone restart karne ki trick aati ho to aap
fatak se use restart kar sakte hai.
Iske liye apko niche diye steps ko karne
honge –
Step – Apne android phone me Power Button, Home
Button aur Valume Up Button (Power Key+Home Key+Valume Up Key) ko ek sath kuch der tak daba kar rakhe. Apka
phone Restart ho jayega.
- Android me Screenshote kaise le ?
Kai bar hame apne Phone screen ka
screenshote lene ki jarurat pad jati hai aise me agar apka phone new android
version ka hai to aap notification bar me jakar aasani se screenshote le sakte
hai lekin agar apka phone thoda purana hai to uske liye me apko ek trick kata
rha hu.
Step – Apne android phone me Power On
Button aur Valume Down Button (Power On+Valume Up) ko ek sath kuch der tak
dabaye. Screenshote apke Gallery me save ho jayega.
Aajkal sare kam hamare smartphone se hi ho
jate hai. isliye hamare phone me virus (malware) ke chalet phone slow ho jata
hai. aise me hame apne phone ko Hard Reset ya Format marne ki jarurat pad jati
hai. iske liye apko niche diye Steps ko karna chahiye.
Step 1 – Factory Reset : factory
reset karne se phone ke sare Apps aur Settings Delete ho jati hai aur phone
speed chalne lagta hai. Factory Reset karne ke liye apne android phone me *#*#7780#*#* code dial kare. Uske baad apka phone
Reset ho ke on ho jayega.
Step 2 – Hard Reset : Phone ko hard reset karne par phone ke sare
chije delete ho jati hai jaise ki – Apps, Settings, Internal aur external
Storage. Yani ki apka phone vapis naye jaisa ho jayega.
Hard Reset karne ke liye apne android phone
me 2767*3855# Dial kare uske baad apka phone Hard Reset hokar on ho
jayega.
- Android Phone Me Power Button se Call End kaise Kare ?
Kai bar jab hum apne android phone se kisi
se baat kar rahe hote hai to hamara phone hang ho jata hai ya kisi karan se
screen me light nahi dikhti jiske karan call ko end karne me hame dikkat aati
hai. lekin agar hum chahe to apne Phone ke Power Button ko daba kar call ko
turant End kar sakte hai. iske liye apko apne phone ke settings me kuch badlav
karna hoga. Niche bataye steps ko follow kare –
Step – Apne Phone ke Settings me jaye Settings
> Accessibility > Power Button Ends Call uske baad Setting ko Save
kar de. Ab aap apne Power Button se bhi Call ko End kar payenge.
Hamare Ye Post Bhi Jarur Padhe -
Hamare Ye Post Bhi Jarur Padhe -
Dosto ye the android phone ke kuch behtarin tricks and tips,
apko ye post kaisa laga hame comments ke madhyam se bata sakte hai. is post ko
share jarur kare.
0 Comments