Apne Jio Number Pe Khud Se Online Recharge Kaise Kare
Dosto Reliance ki Jio kon use nahi
karta aajkal, Jio ke aane ke baad Telicome Sectors me bahut bada badlav aaya
hai jo log internet chalane se bhi katrate the vo bhi ab din bhar internet khol
ke lage rahte hai. Jaisa ki apko pata hi hoga ki 5 September 2016 se 31
December 2016 tak Jio ke Welcome Offer ke tahat Jio ne sab kuch free diya tha
jiska luft bahut se longo ne uthya uske baad 1 January 2017 se 31st
March tak Jio ne apne Happy New Year Offer ke tahat apne Free Offer ko barkarar
rakha. Lekin Jio ne iske baad bhi apne Free Offer ko Extend karte huve apne Jio
Summer Dan Dana Dan Offer ke tahat 1 April 2017 se June 2017 tak offer ko
barkarar hi rakha.
Haliya samay me bhi Jio apne Offer
ko barkarar rakha hai usne apne naye offer ka naam Jio Dhan Dhana Dhan ke tahat
399 rupees me 3 mahine tak 1 GB Per day data/ Free Unlimited Calling aur Per
Day 100 Sms de rhi hai. Aur hal hi me Kuch naye Offers Plan bhi launch kiye
gaye hai jise aap Recharge karva sakte hai. Dosto agar aapne abhi tak apne Jio
pe recharge nahi karvaya to is post ko padh kar aap khud apne Number pe
Recharge kar payenge.
Apne Jio Number Pe Khud Se Online Recharge Kaise Kare ?
Sabse Pahle aap Apna Offer Niche
Choice Kariye –
Aap niche Screenshote me dekh sakte
hai.
Online Recharge Kaise Kare –
Step 1 – Sabse pahle is Link par
click kar ke Jio site pe jaye.
Step 2 – Uske baad apna Jio Number
daal kar Submit kariye.
Step 3 – Uske Baad apke samne Plans
ki list aa jayegi usme se aap job hi Plan lena chahte hai use Select kar ke Buy
par click kare.
Note – Agar aap Prime Membership le
chuke hai to aapko Jio ke Dhan Dhana Dhan Offer ke tahat Milne wale 3 Months
Free ka labh nahi mil payega.
Step 4 – Ab apko Payment karna hai
aap apna payment option choose kar sakte hai jaise Debit Card, Paytm ya fir
Other Mobile Wallet. Payment hone ke baad aapka recharge ho jayega. Aap apne
phone me my jio app me jakar apna plan ko current status check kar sakte hai.
Hamare Ye Post Bhi Jarur Padhhe -
- Apne Android Phone Se Video Ko Convert Ya Effects Kaise Dale
- Kisi Bhi Mobile Number Ka Caller Id aur Location Kaise Jane
- Apne Purane Computer Ki Speed Kaise Badhaye
Dosto agar apko kisi bhi prakar ki
dikkat aa rhi ho technical se related to aap mujh se comments ke madhyam se
puchh sakte hai. Agar apko ye post achhi lagi to share karna naa bhule…dhanywad !
0 Comments