Online Aadhar Card Ka Status Check Ya Download Kaise Kare
Dosto India me pichle kuch saalo me
bahut se badlav kiye gaye hai, jisme Aadhar Card ka hona akdum anivary kar diya
gya hai. Aajkal har chij ko Aadhar se link kiya ja chukka hai aise me agar apko
paiso ka lenden ya government official kamo me aadhar number ka hona jaruri ho
gya hai.
Lekin kabhi – kabhi hamare sath
aisa hota hai ki hum Aadhar Card Apply to kar dete hai lekin vo 3-6 mahino ke
baad bhi hamare address me ban ke nahi aata hai. Aise me bahut se longo ko
dikkato ka samana karna pad jata hai aur aaj to Aadhar ko sabse jaruri Document
ke tor pe har jagah pe manga jata hai. Agar aap bhi aise samshya se pareshan
hai to aap sahi jagah aur sahi post ko padh rahe hai. Aaj ki is post me main
apko online generated Aadhar ko kaise download ya uska Status kaise check kar
sakte hai iske bare me bataunga.
Online Aadhar Status Check Kya Hai ?
Online Aadhar Status Check ka
matlab hai ki apke dwara apply aadhar ki prikriya kahan tak pahunchi hai ye
janana. Agar apka aadhar number vahan se generate ho gaya hai aur vo apke
address pe bhejne wale hai to aap online usko download kar sakte hai. Is se
aapka jaruri kam bhi nikal jayega aur apko wait bhi nahi karna hoga. Fir aapka
Original Card by post apke address pe aaram se pahunch jayega.
Online Apne Aadhar Ka Status Kaise
Check Kare.
Dosto iske liye apke pass aadhar
apply ka slip hona jaruri hai, (Dhyan de ki aapne jab Aadhar ke liye apply kiya
hoga to apko ek slip mili hogi) us slip me kuch enrolment number hoga jo apko
iske liye chahiye hoga.
Step 1 – Sabse pahle diye huve link
par click kar ke Aadhar Status Check karne ki site pe jaiye.
Step 2 – Ab apko do chije yahan par
dalni hogi jaise ki –
- Enrolment Id – Ye Enrolment id apko apne aadhar slip pe mil jayegi jo 14 anko ki hogi use is box me dale.
- Date/Time – Enrolment Slip me Date/Time bhi likha hoga jise apko pura likhna padega is box me.
Step 3 – Ab jo Security Code dikh
rha hai usko Enter kare.
Step 4 – Last me Check Status pe
click kar de. Uske baad apke aadhar ki status apko pata chal jayegi.
Dosto agar apka Aadhar Generate
yani ki ban gaya hai to aap use Download kar sakte hai.
Aadhar Ko Online Kaise Download Kare ?
Step 1 – Diye huve link par click
kare.
Step 2 – Ab apke samane ek page
khulega jisme apko apne Enrolment Slip me diye Enrolment Id, Date/Time, Name
aur Pin Code dalna hai uske baad niche aap apna koi bhi Mobile number Enter
kare jo On hona chahiye kyonki uske ek One Time Password Aayega jise apko Enter
karna hoga.
Step 3 – Mobile Pe OTP Code aa jane
ke baad aap Enter OTP wale box me dale aur Download Kare.
Step 4 – Ye ek PDF file hogi jo
download ho jayegi lekin jab aap ise open karenge to ye aap se password magegi,
password me apko apne Area ka pin code enter karna hoga uske baad apki Aadhar
PDF file Open ho jayegi aur aap ise Print kar ke use kar sakte hai.
Hamare Ye Post Jarur Padhe -
Dosto agar apko koi dikkat aa rhi
ho to aap mujh se comments ke madhyam se puchh sakte hai. Agar apko meri ye
jankari achhi lagi ho to please ise share jarur kare. Dhanywad !
0 Comments