Aadhar Card Me Mobile Number Kaise Update ya Change Kare
Dosto kai bar hamare sath aisa hota
hai ki hum apna aadhar banva lete hai. Lekin hamara jo mobile number jo aadhar
se link hota hai vo band ho jata hai. Aisi parishtithi me hame dikkato ka
samana karna pad sakta hai. Dosto maine to yahan tak dekha hai ki kisi kisi ka
mobile number aadhar se link hi nahi hota. Dosto agar apki bhi kuch is tarah ki
pareshani hai aur apko iski janakri nahi hai to aap is post ko pura jarur
padhe. To chaliye sabse pahle janate hai ki hum apne aadhar me apna number
kaise add karva sakte hai ya agar koi gadbad ho apke aadhar me to use kaise sudharva
sakte hai.
Apne Aadhar Card Me Mobile Number Jode ya Koi Gadbad Ko Kaise Sudharvaye ?
Sabse pahle apko niche diye gaye
link se ek sudhar form download karna hoga aur use diye huve address pe Post
karna hoga. Apko postral address jis pe apko ye form bhar kar bhejna hai vo is
form ke andar hi mil jayega last me. Aap niche diye gaye link se Form Download
kar sakte hai.
Apne Aadhar Card Se Jude Mobile Number Ko Kaise Change Kare ?
Diye gaye link par ja kar aap apna
Mobile Number Change kar sakte hai Online.
Step 1 - Sabse
pahle jab aap us link
pe jayenge to vahan par apko apna Aadhar number dalna hoga. uske baad aap
niche text captcha me diye text ko box me dale aur Send OTP
pe click kare.
Step 2 - Uske baad
apke Register Mobile Number Jo apka abhi current hai uspe ek OTP aayega
jise apko vahan par daalna hoga.
Step 3 - uske baad apko aur bhi option aayenge
jisme apko Mobile number dalna hoga jo aap change karna chahte hai. Confirm karne par apka mobile number
change ho jayega.
⏩ Ye Post Bhi Padhe -
- Online Aadhar Card Ka Status Check Ya Download Kaise Kare
- Kisi Bhi Mobile Number Ka Caller Id aur Location Kaise Jane
- Kisi Bhi WhatsApp Number Ko Track/Monitor Kaise Kare
Dosto agar apko kisi prakar ki
dikkat aa rhi hoto aap mujh se comments ke madhyam se puchh sakte hai. Aap is
post ko share karna naa bhule…dhanywad !
0 Comments