Apne Android Phone Ki Speed Kaise Badhaye
Dosto jaisa ki hame pata hi hai
Android phone se aajkal vo sabhi kam hone lage jo pahle sirf pc, computer me
hin karna sanbhav tha. Yani ki hamara android phone aaj ek chhota computer ban
gya hai. Lekin computer ki hi tarah agar apka phone slow chale to aap bahut
pareshan ho jate hai apne phone ko use karne me. Dosto aaj ki is post me, hum
janenge ki kya karan hota hai ki hamara android phone slow ho jata hai aur ise
speed kaise kar sakte hai.
Android Phone Slow Hone Ki Vajah –
- Hum apne phone me jarurat se jyada App install kar dete hai.
- Hum apne phone ke version ka app install nahi karte hai.
- Phone ki internal Storage ka full hona.
- Android phone ki security ka naa hona.
- Phone me unwanted junk files ka hona etc.
Android Phone Ki Speed Badhane Ke Tips –
Jaruri App Hi Install Rakhe Phone Me –
Hum apne phone me jitney chahe utne
app install kar sakte hai lekin apko yahan par ye dhyan dena hai ki apke phone
me ram kitna khali hai. Usi hisab se aap apne phone me app install rakhe.
Kyonki iski vajah se apka phone bilkul slow ho sakta hai. Jitna jarurat ho utna
hi app install rakhe baki ke apps remove kar de.
Jyada Ram Use Karne Wali App Install Karne Se Bache –
Phone ko speed rakhne me ram ka
bahut bada role hota hai isliye aap apne phone me aise app jyda install naa
kare jo apke ram ko jyda gherti ho. Aise app install kare jis se apka ram bhi
jyda na khaye aur apka kam bhi ho jaye.
Android Version Ke Hisab Se App Rakhe Phone Me –
Jaisa ki apko pata hoga ki Android Version
ki tarah app ke bhi naye version aate rahte hai. Isliye aap apne Android
Version ko dhyan me rakhte huve app ko bhi update karte rahe.
Phone Ki Internal Space Ko 1GB Tak Khali Rakhe –
Agar apke Phone me Internal Space
Full ho jaye to apka phone hang karne lagega. Isliye is baat ka dhyan rakhna
jaruri hai ki aap apne Internal Space ko kam se kam 1 GB tak Free rakhe.
Phone Ki Junk Files Ko Remove Karte Rahe –
Phone me unwanted junk files app ki
vajah se ban jaya karti hai jo apke phone ki memory ko ghere rakhti hai apko
isko remove karte rahna chahiye taki apka phone bhi speed chale. Junk Remove
karne ke liye aap Clean Master App Install kar sakte hai phone me.
Antivirus Install Rakhe Phone Me -
Aaj kal Malware Attacks bhi badh gaye hai, isliye agar aap soch rahe hai ki virus sirf apke pc ya laptop me hi ghus sakta hai to aap galat soch rahe hai. jaisa ki hame pata hi hai smart phone aaj kal kafi advace ho gaye hai isliye iski security bhi laptop, pc jaisi hi hame karni padti hai. isliye aapko chahiye ki pane phone me achha wala antivirus use kare.Ye Post Bhi Padhe -
- Mobile Se Kisi Bhi Mobile Number Ka Caller Id aur Location Kaise Jane
- Android Phone Ki Screen Ko Video Record Kaise Kare
- Apne Android Phone Se Video Ko Convert Ya Effects Kaise Dale
- Apne Purane Computer Ki Speed Kaise Badhaye
0 Comments